Select Page

Surah Taghabun Benefits ?
Aaj Ki es post mein hum aap ko Surah Taghabun K mutaliq batayen ghay. Surah Taghabun kis tarah insaan ko rohani aur duniyawi masail mein ghabi madad Faraham Karne ka sabab banti Hai. Ye aap ko es post ko mukammal parhne K baad pata chalta ga. Surah Taghabun Madani Surah Mubarakah hai. Jo K para 30 mein Hai.
Es Surah Mubarakah ki 18 Ayat Hain. Es Surah Mubarakah mein imaan , tobha aur risalat Ki Ahmiyat batae gae Hai. Es K ilawa ye Surah Mubarakah Allah par tawakal ka dars deti Hai. Lehaza Aaj Ki es post mein hum aap ko Surah Taghabun ka aik esa Wazifa batayen ghay jiski waja se aap zindagi Ki Har rukawat ko Allah Ki madad se dour kar paayen ghay.

agr aap iss article ko ko urdu me read karna chahtay hain tu Click Here

Surah Taghabun Benefits

Har insaan Ki zindagi mein masail ka ana Jana Laga rehta Haim kyu K halat o waqeat K badalty he insaan ko zindagi K mutaliq parts mein Kabi asaani aur Kabhi Parshani se guzarna parhta Hai. Lekin agar Parshani bhut arsay tak Jan na choray tu es ka Matlab ye Hai K insaan K sath koi na koi Rohani masla lazmi Hain. Jiski waja se insaan ko Har kaam mein rukawat ka samna hota Hai. Jese K aam masail mein Rizq Ki Tangi , acha Rishta Na milna , Shadi mein rukawat wagirah shamil hain. Lekin yehi masail khohish K bawajood khatam na hun tu mumkin Hai K fard bad asrat ka shikaar ho. Lehaza agar Kisi Bahi ya Behan Ki zindagi mein rukawaton a rahi Hain aur ye rukawaton mehnat aur khohish K bawajood dour na hun tu es Parshani ka Hal Surah Taghabun mein mujood hai. Agar Surah Taghabun ka turjama parha Jaye tu Hume maloom ho ga K Surah Taghabun mein risalat par imaan ,tobha aur tawakal par Zor Diya Gaya Hai. Matlab ye K agar koi fard aap Nabi Paak par Durood Nahi parhta aur na he Allah se apnay ghunahon Ki Maafi talab Karta Hai tu es Ki waja se Duniya mein pehlay Huye shaitani Asraat es fard K wajood par asar Andaz ho Jatay Hain. Jiski waja se wo gunnah bhe Karta Hai Aur us ko zindagi K mushkilat se nijat bhe Nahi milti. Lehaza agar tobha kar li Jaye aur Nabi Paak par qasrat se Durood parha Jaye aur es K baad Allah par tawakal Karte Huye apni khohish ko Jari rakhna Jaye tu kch he dair mein aap ko Allah Ki ghabi madad hasil ho Jaye gi. Jiski waja se aap Ki zindagi islah aur kamyabi Ki taraf gamzan hone lagy gi aur yehi Surah Taghabun ka Ali Wazifa Hai.

Verification: e67131e7b4c67b2d