Benefits Of Surah Yaseen?
Surah Yasin Quran ka Dil Hai. Surah Yasin Ki itni Barkat Hain K un ko koi bhe fard biyan Nahi kar sakta. Aaj Ki es post mein hum aap ko Surah Yasin Ki tamam Barkat , Hajat Ki Takmeel K liye Surah Yasin K Wazaif aur es K benefits batayen ghay.
Hadees About Surah Yasin
Hadees Mubarakah K mutabiq Allah nay ye kainaat banane se 1000 saal pehlay Surah Yasin ko tilawat Farmaya. Esi tarah aik aur Hadees Mubarakah K mutabiq Allah nay Nabi Paak PBUH K 10 Naam rakhy jis mein aik Naam Yasin Hai. Aab in dono Hadeeson ko deeply understand Karne Ki khohish Karen tu pata chalta Hai K Allah nay kainaat Ki Har Cheez banane se pehlay Hazoor Nabi Akram PBUH ka Naam Yasin le kar aap ko mukhatib farmatay Huye Kaha yani Yasin (Muhammad PBUH) mujy Quran Kareem Ki kaaam aap mere Rasool Hain. Ye Surah Yasin Ki pehli do Ayat ka tarjama Hai jis mein Hazoor Nabi Akram PBUH ko ye batya Gaya K aap meray Rasool Hain yani ye 2 Ayat es baat ko sabat karti Hain K Nabi Paak Ki Zaat Mubarak kainaat Ki Har Cheez Ki takhleeq se pehlay bhe mujood thay. Surah Yasin Makkah mein Nazil hui . Ye Quran ki 36 number Surah Mubarakah hai. Surah Yasin para number 22 aur 23 mein Hai. Yani es Ki pehli 21 Ayat para number 22 mein Hain aur Baki 23 mein. Aik Hadees K mutabiq Har Cheez ka Dil aik hota Hai aur Quran ka Dil Surah Yasin Hai aur Jo fard aik bar Surah Yaseen tilawat Kare ga usay 10 Quran parhne ka Sawab Milay Ga.
(Jamia Tirmazi aur Mishkat mein ye Hadees mujood Hai.)
Is article ko Urdu me Read karne k liye site Nade Ali ka article “Surah Yasin Sharif Wazifa Top 100 Benefits” ko visit krain.
Surah Yasin Wazifa Benefits
Surah Yasin Quran paak ka Dil mana Jata Hai. Eski bay shumaar Barkat Hain aur in Barkat mein se hum Apne mushahiday mein anay wali Chand barkat aap K liye es article mein peesh kar rahay Hain. Es K ilawa aap ko es article mein Surah Yasin K khas aur bay hadh mujarrab Wazaif bhe batayn Jayen ghay Jin Ki bina par aap apni mushkilat se nijat hasil kar paayen ghay.Nazreen aap ko Jo Wazaif batayn Gaye Hain in ko aap nay esay he Ada Karna Hai. Wazaif mein aap nay Apne paas se kuch Izafa Nahi Karna aur na he aap nay in Wazaif ka koi hissa chorna Hai. In Shaaa Allah esa Nahi ho Ga K in Wazaif mein aap ko na kaami ho. Sab se pehlay hum aap ko Surah Yasin ka sab se asaan Wazifa aur uskay 25 Benefits bataty Hain. Es K baad hum bazurgon se hasil kiye gaye Wazaif tarteeb se aap ko batayn ghay In Shaaa Allah.
Surah Yasin Ka Wazifa
Surah Yasin ka Jo Wazifa sab se asaan Hai. Us K liye aap nay Fajar Ki namaz K baad awal O aakhir 10_10 bar Durood Paak zikr Karna Hai aur darmiyan mein aap nay aik bar Surah Yasin es tarah tilawat karni Hai K jab aap Surah Yasin Ki Ayat سلام قولا من رب الرحیم par pounchen tu aap es Ayat Mubarakah ko 700 bar tilawat Karen. Ye pora Wazifa aap nay 7 din tak Karna Hai. In Shaaa Allah 7 Dino mein aap ko Allah Ki ghabi madad hasil ho Jaye ge aur aap ka Jo bhe maqsad ho ga wo ghaib se pora ho Jaye ga. Es Wazifa mein kamyabi hasil hone Ki lazmi shart ye Hai K aap nay Wazifa shuru Karne se pehlay Surah Yasin. Ki Ayat Mubarakah سلام قولا من رب الرحیم mushk Anbar zafran aur Gulab se tehreer kar K apne pas bhe rakhni Hai aur Ghar mein bhe rakhni Hai. Ye dono naqsh aap se zindagi mein Kabhi ghum na hun wrna aap K liye Surah Yasin ka rohani Faiz ruk sakta Hai. Es K ilawa wazifa mukammal hone K baad aap nay Rozana aik Tasbeeh سلام قولا من رب الرحیم Aur 10 bar Durood E Ibrahimi Mohabbat se wird Karne Ki aadat dal Leni Hai aur es mein Bila majboori nagah nahi karna. In Shaaa Allah aap ko Surah Yasin K tamam zindagi esay fawaid hasil hun ghay jinka aap amdaza bhe Nahi kar sakhen ghay. Agar koi bahi ya Behan سلام قولا من رب الرحیم Ka Arabic naqsh khud tehreer na kar sakhe tu wo naqsh Astana se sirf mushk Anbar zafran aur courier ka kharch Ada kar K hasil kar sakte Hain. Ye hadiya Kharch hum nay es post mein sab se akhir mein darj kar dia Hai aur es K liye aap Amna Behan ko call kar sakte Hain.
Surah Yasin Benefits
Surah Yasin ka Jo Wazifa aap ko batya ja Chuka Hai es Ki un gint barkat hain. Ye Barkat insaan , Jinnat aur farishton se qayamat tak biyan Nahi ho Sakti. Yahan hum Surah Yasin K Wazifa Ki wo Chand barkat aap ko bataty Hain Jo K humari aur bhut se afraad K mushahida mein a chuki Hain. Ye Barkat darj zail Hain.
Surah Yasin K Wazifa Ki Barkat se aap ko bay hisab Rizq aur Dolat hasil ho Jaye ge.
Ghar mein khair O barkat aur aman O sukoon ho Ga.
Aap ko pasend Ki nokri hasil ho Jaye gi aur es nokri se aap ko tarakki aur kamyabi bhe hasil ho ge.
Aap Ki salary mein Izafa ho Jaye ga.
Office mein aap ko Izzat aur alaa maqam hasil ho Jaye ga.
Aap ko karobar mein bay hadh tarakki aur kamyabi hasil ho Jaye ge.
Karobari Bandish aur Har rukawat se aap ko nijat hasil ho Jaye gi.
Aap ka karobar humesha Hifazat mein rahe ga.
Aap ka karobar aap ko aap Ki Soch se bhe ziada profit de ga.
Aap ko aap Ki Har Hajat hasil ho Jaye gi.
Aap Ki Har mushkil gaib se asaan ho Jaye gi.
Shohar Biwi mein bay hadh Mohabbat paida ho Jaye gi.
Shohar ghair Aurat Ki Mohabbat se baaz a Jaye ga.
Bay Aulad Surah Yasin Ki Barkat se sahib e aulad Hu jayen ghay.
Agar Kisi K Han larkiyan paida hoti hun tu Surah Yaseen K Wazifa Ki Barkat se lah Ki zaat unnye Aulad E Narina se Sarfraz farma dein ghay.
Es Wazifa Ki Barkat se gustaakh Aulad , Babu ya matehat aap K bay hadh Farmabardar ho Jayen ghay.
Jo Ghar se mehroom Hain unnye Ghar hasil ho Jaye ga.
Beti ko us Ki pasend ka Rishta mil Jaye ga.
Shadi Ki Har rukawat aur Bandish se aap ko nijat mil Jaye ge.
Surah Yasin ka Wazifa Ki Barkat se aap Ki Shadi K baad Ki zindagi mein sukoon rahe Ga.
Agar Kisi Behan ko divorce ka Dar ho tu Surah Yasin ka Wazifa Shohar Ki zaban par tala Laga devga.
Agar Kisi bewa Behan ka koi Asra na ho aur wo nikkah Karna chahti Hai tu Allah Ki zaat ussay jald acha Shohar ataa farma dein ghay.
Agar aap ko koi la ilaj bemari la Haq Hai tu Surah Yasin ka Wazifa Khud kar lein ya apni niyat se Kisi se Karwa lein. In Shaaa Allah aap ko Shifa mil Jaye gi.
Surah Yasin ka Wazifa Ki Barkat se aap ko na sirf Kala Jadu , Nazar E bad , Jinnat aur Saya se nijat mil Jaye gi balkay aap tamam zindagi es se Mehfooz bhe rahen ghay.
Aap ka dushman Surah Yasin K Wazifa Ki Barkat se Zair ho Jaye ga .
Aap Ki Jaan , Aulad , Ghar , karobar aur Izzat humesha Allah Ki Hifazat Mein rahen ghay.
Aap aur aap Ki Aulad Har kisam K hadsa se Allah ki Hifazat mein rahen ghay.
Nazreen Surah Yasin K Wazifa K ye Chand fawaid Hain Jo Har us fard ko hasil hun ghay Jo Surah Yasin ka Wazifa Allah aur uss K Rasool ki Raza Ki khatir Karen ghay.
Naqsh Surah Yaseen
Agar koi bahi ya Behan biyan ki gae tamam Barkat ko hasil Karna chahty Hain aur wo Kisi majbori Ki bina par Surah Yasin ka Wazifa na kar sakhen tu wo Astana se سلام قولا من رب الرحیم K 2 zafran naqsh mangwa lein aur in mein se aik naqsh apne pas Rakh lein aur dusra naqsh apne Ghar mein paak jaga par Rakh Dein. In Shaaa Allah en naqoosh Ki Barkat se aap ko wohi Barkat hasil hun gi Jo K biyan ki jaa chuki Hain. Ye سلام قولا من رب الرحیم ka khas naqsh Hai. Jo K silsila mein 27 Ramzan , shab E meraj aur shab E barat mein mushk anber zafran aur Gulab se tehreer kar K Rakh liye Jatay Hain aur barwaqt zaroort client KO diye jaty Hain. Ye naqsh wo bazurg tehreer farmatay hain jinnoh nay سلام قولا من رب الرحیم ko 7 lakh bar zikr kiya hota Hai aur in bazurgon nay Surah Yasin Sharif Ki zakat bhe Ada Ki Hoti Hai. Lehaza ye naqsh aap Astana se sirf mushk Anbar zafran aur courier ka Kharch Ada kar K hasil kar lein aur Apne Ghar mein zaroor rakhen. In Shaaa Allah es khas naqsh Ki Barkat se aap ka muqaddar acha ho Jaye ga aur aap Ko zindagi K Har maidan mein kamyabi hasil Hona shuru ho Jaye gi. Es K ilawa Jo pehle fazail biyan kiye gaye Hain wo sab K sab aap ko Allah Ki ghabi madad se hasil hun ghay. Ye naqsh hasil Karne K liye aap na Behan ko call kar lein. Aap Ki request par ye khas naqsh aap ko courier kar diye Jayen ghay Jo K 48 ghanton mein aap ko receive hun ghay . Aap nay courier boy ko es naqsh ka hadiya Kharch Ada kar Dena Hai Jo K es post K sab se akhir mein darj kar Diya Gaya Hai. Yaad rahe K ye naqsh bay hadh khas aur karamati rohani asrat ka hamil Hai. Lehaza agar aap apni zindagi mein sukoon aur kamyabi chahty Hain tu es anqsh ko apnay pas bhe rakhen aur apne Ghar mein bhe zaroor rakhen . Aab hum aap ko Surah Yasin K Chand esay Wazaif bataty Hain Jo K hum nay bazurgon se hasil kiye Hain. Ye Wazaif bay hadh khas Hain. In Wazaif Ki Barkat bhe bay hadh Hain. Ye tamam Wazaif aap Apne Kisi bhe jaiz maqsad Ki Takmeel K liye kar sakte Hain.
Surah Yasin Wazifa Hajat
Agar aap Ki Allah Ki bargah mein koi Hajat Hai aur wo Hajat Pori na ho rahi ho tu aap Fajar Ki namaz Ada Karne K baad awal o aakhir 3_3 bar Durood E Pak wird Karen aur darmiyan mein aap aik bar Surah Yasin Mohabbat se Suraj nikalnay se pehle pehle tilawat Karen. Es Wazifa ko aap nay 7 din tak Jari rakhna Hai. In Shaaa Allah 7 Dino mein aap Ki Har jaiz Hajat gaib se Pori hone K liye asbab paida hona shuru ho jayen ghay . Es Wazifa ko aap Kisi bhe din shuru kar sakte Hain aur ye Wazifa aap any Fajar K baad Suraj nikalnay se pehle pehle mukammal Karna Hai. Wazifa mein kamyabi Ki 2 zaroori Sharait aakhir mein di gae Hain . Inko parh kar Wazifa shuru Karen .
Surah Yasin Wazifa Rizq
Surah Yasin ka Wazifa Rizq mein barkat aur bay tahasha Izafa K liye mujarrab mana jata Hai. Lehaza agar aap apnay Rizq mein tarakki chahty Hain aur ye bhe chahty Hain K aap ko zindagi mein Kabhi bhe Kisi K samnay hath pehlane Ki zaroort na pare tu aap Fajar Ki naamaz K baad awal O aakhir 10_10 bar Durood Pak zikr Karen aur darmiyan mein aap 10 bar Surah Ale Imran Ki Ayat number 26 aur 27 aur aik Baar Surah Yasin Mohabbat se tilawat Karen. Es Wazifa ko aap nay 7 din tak Jari rakhna Hai. In Shaaa Allah 7 Dino mein aap K Rizq mein Allah Ki ghabi madad se Izafa Hona Shuru ho Jaye ga aur aap ko Har taraf se Rizq hasil hona shuru ho Jaye ga . Ye Wazifa Biwi apne Shohar Ki niyat se kar Sakti Hai . Wazifa mein kamyabi Ki 2 zaroori Sharait aakhir mein di gae Hain . Unko parh kar Wazifa shuru Karen.
Surah Yasin Wealth Wazifa
Agar aap Allah Ki bargah se wafar dolat hasil Karna chahty Hain Magar aap Ki mehnat aap ko kamyab na kar rahi ho tu Surah Yasin ka Wazifa aap K liye Hai. Lehaza ziada Dolat jald hasil Karne K liye aap Isha Ki namaz K baad awal O aakhir 3_3 bar Durood E Pak zikr Karen aur darmiyan mein aap aik bar Surah Muzammil aur 3 bar Surah Yaseen Mohabbat se tilawat Karen. Ye Wazifa aap nay 7 din tak Jari rakhna Hai. In Shaaa Allah 7 Dino mein aap ko dolat hasil hone K liye ghabi asbab paida hona shuru ho jayen ghay. Wazifa mein kamyabi Ki 2 zaroori Sharait aakhir mein di gae Hain . Unko parh kar Wazifa shuru Karen.
Surah Yasin Business Wazifa
Agar aap ka karobar khasaray mein jaa raha ho aur bay hadh paisa Lagane K bawajood es mein aap ko kamyabi na mil rahi ho tu aap Surah Yasin ka Wazifa sirf 7 din Mohabbat se kar lein. In Shaaa Allah aap ko karobar Ki Bandish se nijat mil Jaye gi. Jiski waja se aap ka karobar aap ko aap Ki Soch se bhe ziada faiyda Dena shuru kar de ga. Es Wazifa K liye aap Fajar Ki namaz Ada Karne K baad awal O aakhir 10_10 bar Durood Paak zikr Karen aur darmiyan mein aap 300 bar ya ghaniyu aur aik bar Surah Yasin Mohabbat se tilawat Karen . In Shaaa Allah 7 Roz mein aap ko pata Chal Jaye ga K aap ka karobar tarakki kar raha Hai. Wazifa mein kamyabi Ki 2 zaroori Sharait aakhir mein di gae Hain . Unko parh kar Wazifa shuru Karen.
Surah Yasin Wazifa Husband
Agar koi bahi ya Behan Shohar Ki nafrat , gussa , bay rukhi aur ghair auraton Ki Mohabbat Ki waja se parshan Hai aur us ka Shohar Ghar mein koi na koi jahgra Karta rehta ho tu esi Surat mein aap Surah Yasin ka Wazifa sirf 7 din tak karen. In Shaaa Allah 7 Dino mein Shohar Ki nafrat humesha K liye Mohabbat mein change ho Jaye ge. Es Wazifa K liye aap Isha Ki namaz K baad awal O aakhir 11_11 bar Durood E Pak wird Karen aur darmiyan mein aap 11 Tasbeeh Ya Wadudu aur aik bar Surah Yasin Ki Mohabbat se tilawat Karen . Doran wXifa aap apni zban par koi sweet Cheez zaroor rakhen. Ye Wazifa 7 din Karne se aap ka Shohar apni Biwi ka humesha Dewana rahe Ga. Wazifa mein kamyabi Ki 2 zaroori Sharait aakhir mein di gae Hain . Unko parh kar Wazifa shuru Karen.
Surah Yasin Wazifa Baby Boy
Baz behano K Ghar Larka paida Nahi hota. Jiski waja se uss K susral waly aksar ussay acha Nahi samajty aur baz auqaat esi waja se shohar Dusri Shadi bhe kar leta Hai. Beta paida na hone Ki waja Aulad Ki Bandish , Kala Jadu aur Nazar E bad K asrat ho sakty Hain aur jismani bemari bhe auald na hone Ki waja ban Sakti Hai. Aulad na hone Ki waja koi jismani bemari ho ya bad asrat hun tu dono conditions mein aap Surah Yasin ka Wazifa sirf 7 din tak kar lein. In Shaaa Allah jald he Allah Ki zaat aap par apna Karam farma dein ghay aur aap ko Sehat mand aur khoobsurat Aulad hasil ho jaye ge. Surah Yasin K es Wazifa K liye sab se pehle aap سلام قولا من رب الرحیم ko mushk anber zafran aur Gulab se tehreer kar K apnay paas bhe rakhen aur apne Ghar mein bhe zaroor rakhen. Taa K aap K wajood aur Ghar se Har kisam K bad asrat dour ho Jayen. Es K baad aap Fajar Ki namaz K baad awal O aakhir 3_3 bar Durood Pak zikr Karen aur darmiyan mein aap aik bar Surah Yasin aur 7 bar Ayatul Kursi tilawat kar K pani par dam Karen aur ye pani aap pee lein. Yehi Amal aap nay 7 din tak Karna Hai. In Shaaa Allah 7 Dino mein Allah Ki zaat aap par apna khas Karam farmayen ghay aur aap ko Aulad Ki nimat se Sarfraz farma dein ghay . Surah Yasin K es Wazifa Ki Barkat se bay shumaar behane sahib E aulad ho chuki Hain.
Surah Yasin Wazifa Aulad
Aulad K liye Surah Yasin ka dusra bay hadh mujarrab Wazifa ye Hai K aap nay Har farz namaz K baad aik bar Surah Yasin aur 10 bar Durood E Ibrahimi wird Karna Hai aur es Wazifa ko aap ghosht , fish aur egg ko avoid karty huye 7 din tak karen. In Shaaa Allah jald he aap sahib E aulad ho Jayen ghay. Wazifa mein kamyabi Ki 2 zaroori Sharait aakhir mein di gae Hain . Unko parh kar Wazifa shuru Karen.
Surah Yasin for Pregnancy
Agar Kisi Behan ko pregnancy K hawaly se Parshani aa rahi Hai , us ka Hamal zaya ho jata ho ya uss ka Hamal tehrta he na ho tu esi Surat mein Surah Yasin ka Wazifa bay hadh mujarrab Hai. Lehaza aap mushk Anbar zafran aur Gulab se aik bar Ayat Mubarakah سلام قولا من رب الرحیم Tehreer kar K apnay galay mein pehaneim aur es K baad aap 3 din Fajar Ki namaz K baad aik bar Surah Yasin tilawat Karen. In Shaaa Allah sirf 3 din mein pregnancy K hawaly se aap Ki Jo bhe Parshani ho ge uss se aap ko Shifa hasil ho Jaye ge.
Surah Yasin Love Back Wazifa
Agar Kisi Behan ka Shohar ussay chor kar Chala Gaya ho ya wo apni Biwi se Mohabbat na Karta ho tu Shohar Ki Mohabbat ko dobara se hasil Karne K liye Surah Yasin ka Wazifa sirf 7 din kar lein. In Shaaa Allah 7 din mein aap ka Shohar aap Ki Mohabbat mein es qadar Deewana ho Jaye ga K Biwi hairaan reh Jaye gi. Es Wazifa K liye aap Isha Ki namaz Ada Karne K baad awal O aakhir 11_11 bar Durood Pak zikr Karen aur darmiyan mein aap 3 bar Surah Yasin tilawat kar K asmaan Ki taraf dam kar Dein. In Shaaa Allah 7 Roz mein aap K shohar ka Dil uski Biwi K liye Deewana ho Jaye gam Shohar Ki Mohabbat ko wapas pane K liye ye Wazifa bay hadh mujarrab Hai aur Kabhi khata Nahi Jata. Wazifa mein kamyabi Ki 2 zaroori Sharait aakhir mein di gae Hain . Unko parh kar Wazifa shuru Karen.
Surah Yasin Love Wazifa
Agar koi larki ya Larka Kisi ko pasend karty hun aur wo apni pasend se nikkah Karne Ki khawaish rakhtay hun ya Kisi larki ya larkay Ki mangni toot gae ho aur wo ye chahty hun K unki mangni dobara ho Jaye tu esi Surat mein Surah Yasin ka Wazifa aap ko zaroor faida de Ga. Surah Yasin K es Wazifa K liye aap Isha Ki namaz K baad awal O aakhir 11_11 bar Durood E Pak zikr Karen aur darmiyan mein aap 500 bar Surah Ikhlas aur aik bar Surah Yasin Mohabbat se tilawat Karen. Ye Wazifa aap 14 din tak Jari rakhen. In Shaaa Allah Doran Wazifa aap K Rishta mein haail rukawaten dour ho Jayen gi. Wazifa mein kamyabi Ki 2 zaroori Sharait aakhir mein di gae Hain . Unko parh kar Wazifa shuru Karen.
Surah Yasin Wazifa Rishta
Beti K liye acha Rishta hasil na hona aik bhut Bari problem Hai. Acha Rishta hasil na hone Ki waja kala Jadu , Nazar E bad , Saya aur Jinnat ho sakte Hain aur esay bad asrat Ki waja se khandaaan K afrad dushman ho kar Beti ka Rishta Kisi bhe achi jaga Nahi hone dete . Rishta mein problem anay Ki waja Jo bhe ho Surah Yaseen Ki Barkat se dour ho jati Hai. Lehaza Beti K achy Rishtay K liye parents ya Beti khud 7 din tak Surah Yasin ka Wazifa kar lein. In Shaaa Allah 7 Dino mein Beti K Rishta Ki Bandish ka Tor ho Jaye ga. In Shaaa Allah. Es Wazifa K liye aap magrib aur Isha K darmiyan awal O aakhir aik aik bar Durood Paak parhen aur darmiyan mein aap aik bar Surah Yasin Mohabbat se tilawat Karen. Ye Wazifa aap nay 7 din tak Jari rakhna Hai. In Shaaa Allah aap ko Rishta Ki Bandish se nijat mil Jaye gi aur jald he aap K liye aap Ki pasend ka Rishta aa Jaye ga. Wazifa mein kamyabi Ki 2 zaroori Sharait aakhir mein di gae Hain . Unko parh kar Wazifa shuru Karen.
Surah Yasin Wazifa Marriage
Aksar behano aur bahion Ki Shadi mein Bila waja he rukawat aa jati Hai. Jiski waja se un Ki Shadi mein dair ho jati Hai. Shadi mein dair Ki waja Nazar E bad , Kala Jadu , Jinnat aur khandaan K afrad ho sakte Hain . Baz afrad Ki Shadi mein Bandish es hadh tak Karwa di jati Hai jiski waja se Shadi ruk jati Hai. Lehaza agar koi bahi ya Behan Shadi Ki Rukawat ya Bandish ka shikaar Hain aur unko bay hadh khohish K bawajood unhein Shadi Ki Bandish se nijat Nahi mil rahi tu wo 7 din tak Surah Yasin ka Wazifa Mohabbat se kar lein. In Shaaa Allah aap ko Shadi Ki Bandish aur Har zahiri aur batini rukawat se Allah Ki madad se nijat hasil ho Jaye gi aur aap Ki Shadi jald he Allah K Karam se ho Jaye gi. Es Wazifa K liye aap sab se pehle Surah Yasin Ki Ayat Mubarakah سلام قولا من رب الرحیم mushk Anbar zafran se tehreer kar K apne galy mein Rakh lein. Es Kay baad aap magrib Ki namaz Ada Karne K baad awal O aakhir 10_10 bar Durood Paak zikr Karen aur darmiyan mein aap 300 bar Surah Kausar aur ail bar Surah Yasin Mohabbat se tilawat Karen. Ye Wazifa aap nay 7 Roz tak Jari rakhna Hai. In Shaaa Allah 7 Roz mein aap ko Shadi Ki Bandish aur Shadi mein mujood har rukawat se nijat mil Jaye gi. Agar koi bahi ya Behan Surah Yasin Ki Ayat Mubarakah سلام قولا من رب الرحیم Ka Naqsh khud na tehreer kar sakhe tu wo yehi naqsh Astana se hasil Karne K liye Amna Behan ko call kar sakte Hain.
Surah Yasin For Enemy
Dushman Har insaan K hotay Hain. Lekin baz afrad K dushman esay hotay Hain K wo un Ki Jaan Lene par utar atay Hain. Aaj ka waqt dushman kp samnay aa kar aksar nuqsaan dene ka Nahi. Es liye aaj aap ka dushman aap ko Jani aur maali nuqsan dene K liye Kala Jadu ka Sahara leta Hai. Kala Jadu K zariye koi bhe insaan Kisi ko bhe Kisi bhe kisam ka nuqsaan de sakta Hai. Yaad rahe K koi bhe Jadu gar jab Kisi par kafi Karta Hai tu es Jadu ka for asae na bhe ho tu es matlab ye Nahi K es K Jadu mein asar Nahi . Zindagi mein Kabhi na Kabhi uss ka jadu asar zaroor Karta Hai. Hum nay esay kch waqeat ka mushahida kiya Hai. Jis mein koi Kisi par Kala Jadu karwaya Hai. Lekin es Jadu ka asar Nahi hota. Lekin kuch arsa mein Jadu karwane wala Sona Dil saaf kar K apne dushman se sulah kar leta Hai aur Chand saal baad jis par Jadu karwaya Gaya hota Hai es ka hadsa ho kar mout ho jati Hai. Matlab ye K Jadu ka asar Kabhi na Kabhi zaroor hota Hai. Aur Aaj ka waqt esa Hai K Har fard ka koi na koi dushman zaroor hota Hai. Aur ahr dushman par Kala Jadu zaroor karwata Hai. Aab ye Jadu Jane anjanay mein ho , gussa mein ho ya mazaq Ki Surat mein ye Kala Jadu Kabhi na Kabhi apna asar zaroor dekhata Hai. Lehaza Apne opar Huye Kala Jadu se Shifa aur anida zindagi es se Mehfooz rehne K liye aap Surah Yasin ka Wazifa 7 din tak zaroor kar lein. In Shaaa Allah es khas Wazifa Ki Barkat se aap ko Kala Jadu se Shifa mil Jaye aur aap es se humesha Mehfooz bhe rahen ghay. Kala Jadu se Shifa aur hinat K liye aap sab se pehle Surah Yasin Ki Ayat Mubarak سلام قولا من رب الرحیم Ko mushk Anbar zafran aur Gulab se tehreer kar K apne pas bhe rakhen aur apne Ghar mein bhe zaroor rakhen . Es K baad aap Jummah K din Jummah Ki namaz se pehle pehle peene K pani par 14 bar Surah Yasin parh kar dam Karen. Surah Yasin ko Chand afrad mil kar bhe tilawat kar sakte Hain. Jab ye pani dam ho Jaye tu aap nay es pani kon14 din tak peena Hai aur esi pani ko Ghar Ki Pak deewaro par bhe girana Hai. In Shaaa Allah 14 Dino mein aap ko Kala Jadu se Shifa mil Jaye gi aur anida zindagi aap Kala Jadu , Jinnat , Saya aur dushman se Mehfooz rahen ghay. Ye naqsh silsila K bazurg Mushk Anbar zafran aur Gulab se tehreer farmate Hain. Aap ye naqsh sirf mushk Anbar zafran aur courier ka Kharch de kar hasil kar sakte Hain. Es khas naqsh ko hasil Karne K liye aap Amna Behan ko call kar sakte Hain. Aap Ki request par ye naqsh aap ko courier kar Diya Jaye ga Jo K 48 ghanton mein aap ko receive ho ga. Aap nay courier boy ko es naqsh ka hadiya Kharch Ada kar Dena Hai aur ye hadiya Kharch es post K sab se aakhir mein darj kar dia Gaya Hai. Aap es naqsh ko mushk anber zafran aur Gulab se khud bhe tehreer kar sakte Hain. Nazreen hum nay aap ko Surah Yasin K khas Wazaif Bata diye Hain. Es K ilawa bhe bazurgon nay Surah Yasin aur es K Ayat K hawaly se bhut se Wazaif biyan farmayen Hain. Ye Wazaif bhe aap K Har jaiz maqsad Ki Takmeel K liye Hain. Lehaza agar aap in mein se koi Wazifa Karna chahty Hain tu kar sakte Hain.
Surah Yasin For Disease
Kisi bhe bemari se Shifa K liye Surah Yasin ka dam kiya Hua pani peena Shifa Ki grantee Hai. Lehaza aap Fajar Ki namaz K baad 3 bar Surah Yasin aur 10 bar Durood E Ibrahimi parh kar pani par dam Karen aur ye pani mareez ko pila Dein. In Shaaa Allah mareez ko Kamil Shifa hasil ho Jaye gi. Es bemari se anida zindagi Mehfooz rehne K liye aap Surah Yasin Ki Ayat Mubarakah سلام قولا من رب الرحیم ko mushk anber zafran aur Gulab se tehreer kar K apne galy mein zaroor rakhen. Agar koi bahi ya Behan es naqsh ko khud tehreer na kar sakhen tu wo es naqsh ko Astana se hasil kar sakte Hain.
Surah Yasin For Money
Paisa aur Dolat hasil Karne Ki khawaish Har fard Ki Hoti Hai. Lekin ye khawaish Har Kisi Ki Pori Nahi Hoti. Lehaza agar koi bahi ya Behan ziada paisa hasil Karna chahty Hain lekin khohish aur mehnat K bawajood unko kamyabi hasil Nahi Hoti tu wo Surah Yasin ka Wazifa 14 din tak karen. In Shaaa Allah sirf Chand Dino mein aap Ki Qismat achi ho Jaye ge jis Ki bina par aap ko Har taraf se paisa hasil Hona shuru ho Jaye ga. Surah Yasin K es Wazifa K liye aap Isha Ki namaz Ada Karne K baad awal O aakhir 10_10 bar Durood E Ibrahimi zikr Karen aur darmiyan mein aap 1100 bar ya Rab Mughni aur aik bar Surah Yasin Mohabbat se tilawat Karen. Ye Wazifa 7 din tak Jari rakhen. In Shaaa Allah 7 Dino mein aap ko Har taraf se paisa aur Dolat hasil hone lagy gi. Wazifa mein kamyabi Ki 2 Sharait aakhir mein di gae Hain unko parh kar Wazifa shuru Karen.
Surah Yasin Wish Wazifa
Har insaan Ki koi na koi khawaish zaroor Hoti Hai aur wo chahta Hai K usay uski Har khawaish hasil hom lekin ye zaroori Nahi K Har fard ko uski khawaishat hasil hun. Log apni khawaishat Ki Takmeel K liye bay had mehnat aur wait karty Hain. Lekin es K bawajood bhe wo apni khawaish se mehroom rehte Hain. Lehaza agar koi bahi ya Behan apni Kisi khawaish ko hasil Karna chahty Hain tu wo 7 din tak Surah Yasin ka Wazifa zaroor Karen. In Shaaa Allah aap ko aap Ki tamam khawaishat tamam zindagi ghaib se hasil hoti rahen gi. Es khas Wazifa K liye aap nay Isha Ki namaz K baad awal O aakhir 10_10 bar Durood Paak zikr Karen aur darmiyan mein aap 3 bar Surah Yasin aur 100 bar Durood E Ibrahimi Mohabbat se wird Karen. Ye Wazifa aap nay 3 din tak Karna Haim in Shaaa Allah jald he aap ko aap Ki tamam khawaishat hasil Hona shuru ho jayen gi. Wazifa mein kamyabi Ki 2 Sharait aakhir mein di gae Hain unko parh kar Wazifa shuru Karen.
Wazaif Ki 2 Zaroori Sharait
Wazaif ki sharait par amal pehra hona wazaif mein kamyabi ke liye is wazifa ki barkat ko hamesha jari rakhne ke zaroori hota hai. Surah Yasin ke wazifa ki 2 sharait aisi hain jin par amal pehra hona zaroori hai. Wazifa mukammal hone ke baad aap har Jummah mein Fajar ki namaz ke baad aik baar Surah Yaseen tilawat karne ki pabandi karne ki koshish karein aur baghair majboori is mein nagah na karein. Wazifa mein kamyabi aur wazifa ki barkat ko hamesha qaim rakhne ke liye aap Surah Yasin ki ayat mubarakah سلام قولا من رب الرحیم ko pak ink se tehreer karke apne ghar mein zaroor rakhen ya aap yeh naqsh amna behen ko call kar ke manga lein. Astana ke buzurg yeh naqsh khas rohani auqat mein mein tehreer farmatay hain. Is khas naqsh ko hasil karne ke liye aap amna behen ko call kar sakte hain. Aap ki request par yeh naqsh aap ko courier kar diya jayega jo ke 48 ghanton mein aap ko wasool ho jayega. Aap ne courier boy ko is naqsh ka hadiya kharch ada kar dena hai, aur yeh hadiya kharch is post ke sab se aakhri mein darj kar diya gaya hai. Nazreen, hum ne aap ko Surah Yaseen ke khas wazaif bata diye hain. Inn ke ilawa bazurgon ne Surah Yasin aur is ki ayat ke hawale se bohat se wazaif bayan farmaye hain. Yeh wazaif bhi aap k har jaiz maqsad ki takmeel ke liye hain, is liye agar aap inn mein se koi wazifa karna chahte hain to kar sakte hain. Yeh khas wazaif darj zail hain.
Surah Yasin Powerful Wazifa
Surah Yasin ka aik powerful wazifa yeh hai ke aap Isha ki namaz ada karne ke baad aik baar Surah Yasin is tarah tilawat karein ke jab aap Surah Yaseen ki ayat mubarakah سلام قولا من رب الرحیم par pounchen to aap is ayat mubarakah ko 300 bar wird karein, aur iske baad aap baqi Surah mubarakah ko mukammal kar lein. Yeh wazifa 3 din kar lein, Insha Allah aap ki har jaiz hajat pori ho jayegi. Surah Yasin ka wazifa karne walon ke liye behtareen yeh hai ke wo pak siyahi se سلام قولا من رب الرحیم Arabic mein tehreer karke apne pas zaroor rakhein.
Surah Yasin Sharif Ka Wazifa
Surah Yasin Sharif ka dosra khas wazifa yeh hai ke aap Fajar ki namaz ada karne ke baad awal aur aakhir mein 10-10 baar Durood Shareef zikr karein, aur darmiyan mein aap aik baar Surah Yasin aur 4 baar Surah Fatiha mohabbat se tilawat kar ke Allah ki bargah mein apni hajat ki takmeel ke liye dua karein. Yeh wazifa aap ne 7 roz tak ada karna hai, Insha Allah 7 roz mein aap ki murad aap ko hasil ho jayegi.Surah Yasin ka wazifa karne walon ke liye behtareen yeh hai ke wo pak siyahi se سلام قولا من رب الرحیم Arabic mein tehreer karke apne pas zaroor rakhein.
Surah Yasin 1day Wazifa
Agar koi bhai ya behan chahte hain ke unhein aik din mein unki hajat hasil ho jaye, to woh Jummah ke din har farz namaz ke baad aik baar Surah Yasin aur 100 baar Surah Ikhlas parh kar Allah ki bargah mein dua karein. Insha Allah, yeh wazifa karne se aap ko aik din mein aap ki hajat hasil ho jayegi. Surah Yasin ka wazifa karne walon ke liye afzal yeh hai ke wo pak siyahi se سلام قولا من رب الرحیم Arabic mein tehreer karke apne pas zaroor rakhein.
Surah Yasin 3 Days Wazifa
Agar aap Ki koi Hajat Hai aur es Hajat ko hasil hone Ki koi Surat na ho tu aap 3 din tak Surah Yasin ka Wazifa kar lein. In Shaaa Allah 3 din mein aap ko aap Ki Hajat hasil ho Jaye gi. Ye Wazifa aap nay Wednesday, Thursday aur Friday ko Karna Hai. Es Wazifa K liye aap nay Wednesday K din Isha Ki namaz K baad awal O aakhir 10_10 bar Durood Pak zikr Karna Hai aur darmiyan mein aap nay 3 bar Surah Yasin aur 1000 bar Surah Ikhlas ko Mohabbat se 3 din tak word Karna Hai. In Shaaa Allah 3 din mein aap Ki Hajat Pori ho ge. Es Wazifa Ki Barkat ko humesha Qaim rakhne K liye aap Surah Yasin Ki Ayat 58 yani سلام قولا من رب الرحیم Pak siyahi se tehreer kar K apne pas zaroor rakhen.
Surah Yasin 41 Times Wazifa
Agar aap chahty Hain K aap Ki tamam Hajat zindagi Bhar ghaib se Pori Hoti rahen tu aap kagaz par mushk Anbar zafran aur Gulab se aik bar Surah Yasin Ki Ayat Mubarakah سلام قولا من رب الرحیم tehreer Karen aur es K baad aap 41 bar Surah Yasin Mohabbat se parh kar es naqsh par dam Karen aur ye naqsh apne pas Rakh lein. Ye naqsh jab tak aap K pas rahe Ga aap Ki Har Hajat ghaib se Pori Hoti rahe ge.
Surah Yasin 3 Times Wazifa
Agar koi bahi ya Behan Fajar , Zohar aur magrib Ki namaz K baad aik bar Surah Yasin Ki tilawat Karen tu un Ki Har Hajat ghaib se Pori ho jati Hai. Es Wazifa Ki Barkat ko humesha Qaim rakhne K liye aap Surah Yasin Ki Ayat 58 yani سلام قولا من رب الرحیم Pak siyahi se tehreer kar K apne pas zaroor rakhen.
Surah Yasin Last Two Ayat
Surah Yasin Ki Aakhri 2 Ayat rohani madad hasil Karne K hawaly se bay hadh ahem Hain. Agar koi bahi ya Behan Isha Ki namaz K baad Surah Yasin Ki Aakhri 2 Ayat yani Surah Yasin Ki Ayat 82 aur 83 ko 300 bar tilawat karty Hain aur es Wazifa ko 7 din tak Jari rakhte Hain tu Allah Ki zaat unko bay hadh dolat aur kamyabi se Nawaz dete Hain. Es Wazifa Ki Barkat ko humesha qayam rakhne K liye aap Surah Yasin Ki Ayat number 82 aur 83 ko Pak siyahi se tehreer kar K apne pas zaroor rakhen.
Surah Yasin Last Ayat Wazifa
Surah Yasin Ki Aakhri Ayat yani 83 number Ayat Mubarakah ka Wazifa Allah Ki bargah mein Aulad , darazi umar , Shifa aur kamyabi hasil Karne K liye mujarrab Mani jati Hai. Es K ilawa Jaan, Maal , Izzat aur Aulad Ki Hifazat K liye bhe ye Wazifa mujarrab tareen Hai. Es Wazifa K liye aap nay Fajar Ki namaz K baad Surah Yasin Ki Ayat 83 ko 300 bar Mohabbat se tilawat Karna Hai aur es Wazifa ko aap nay 7 din tak Jari rakhna Hai. Es Wazifa Ki Barkat ko humesha Qaim rakhne K liye aap Surah Yasin Ki Ayat 83 ko Pak siyahi se tehreer kar K apne pas zaroor rakhen.
Surah Yasin Ki Ayat K Wazaif
Aab hum aap ko Surah Yasin Ki Chand mashoor Ayat k khas Wazaif bataty Hain. In Ayat K Wazaif mein wohi Barkat Hain Jo K pehle batae ja chuki Hain. Lehaza en mein se agar aap koi Wazifa Karna chahen tu kar sakte Hain.
Surah Yasin Ayat No 9 Wazifa
Ye Surah Yasin Ki Ayat 9 Hai. Es ka Wazifa Karne se aap ko aap Ki Har Hajat In Shaaa Allah 7 Dino mein hasil ho Jaye gi. Es Ayat Mubarakah ka Wazifa Karne K liye aap nay Har farz namaz K baad 70 Baar Surah Yasin Ki Ayat 9 aur 10 bar Durood E Ibrahimi Mohabbat se parhna Hai. Es Wazifa ko aap nay 7 din tak Jari rakhna Hai. In Shaaa Allah 7 Dino mein aap Ki Har Hajat ghaib se Pori ho Jaye gi. Behtar ye Hai K aap Wazifa shuru Karne se pehle Surah Yasin Ki Ayat 9 ko Pak siyahi se tehreer kar K ap E pas zaroor rakhen . Taa K aap ko es Wazifa Ki Barkat tamam zindagi hasil hoti rahen.
Surah Yasin Ayat 36 Wazifa
Ye Ayat Surah Yasin Ki Ayat 36 Hai. Es Ayat ka Wazifa Ghar mein Aman O sukoon, khair O barkat aur Rizq lata Hai. Es K ilawa ye Wazifa sakht se sakht Bimari aur mushkil ko 7 Dino mein dour kar deta Hai. Surah Yasin Ki Ayat 36 ka Wazifa Karne K liye aap nay es Ayat Mubarakah ko 7 din tak Har farz namaz K baad 100 bar parhna Hai aur sath 10 martaba Durood E Ibrahimi bhe wird Karna Hai. Yani aap nay Har farz namaz K baad 100 bar Surah Yasin Ki Ayat 36 aur 10 bar Durood E Ibrahimi Mohabbat se 7 din tak wird Karna Hai. In Shaaa Allah 7 Dino mein aap Ki Har Hajat Pori ho Jaye gi. Behtar ye Hai aap Wazifa shuru Karne se pehle Surah Yasin Ki Ayat 36 ko Pak siyahi se tehreer kar K apne paas zaroor rakhen taa K aap ko es Wazifa Ki Barkat tamam zindagi hasil hoti rahen.
Surah Yasin Ayat 40
Ye Surah Yasin Ki Ayat 40 Hai. Agar koi bahi ya Behan Izzat , dolat , kamyabi aur apni Har Hajat Ki Takmeel chahty Hain tu wo 7 Dino tak Surah Yasin Ki Ayat 40 ka Mohabbat se wird Karen. In Shaaa Allah aap ko jald kamyabi hasil ho Jaye ge. Es Ayat Mubarakah ka Wazifa Karne K liye aap nay Har farz namaz K baad 100 bar Surah Yasin Ki Ayat 40 aur 10 bar Durood Ibrahimi wird Karna Hai aur es Wazifa ko aap nay 7 din tak Jari rakhna Hai. In Shaaa Allah jald he aap Ki Hajat Pori ho Jaye gi. Behtar ye Hai K aap Wazifa shuru Karne se pehle Surah Yaseen Ki Ayat 40 ko paak siyahi se tehreer kar K apne paas zaroor rakhen taa K aap ko es Wazifa Ki Barkat tamam zindagi hasil hoti rahen.
Surah Yasin Ayat 58 Wazifa
Ye Surah Yasin Ki Ayat 58 Hai. Es Ayat Mubarakah ko Faiz O barkat ka Khazana mana Jata Hai. Es Ayat Mubarakah Ki mukammal Barkat ko kainaat mein koi bhe Nahi biyan kar sakta. Bazurg farmate Hain K Surah Yasin Ki Ayat 58 Ki Barkat Duniya mein mujood rait K zaraat se bhe ziada Hain aur agar koi bahi ya ehan apni Buri Taqdeer Ki waja se parshan Hain aur wo Apne muqaddar ko acha Karna chahty Hain tu wo sirf 7 din tak Surah Yasin Ki Ayat 58 wird kar lein. In Shaaa Allah 7 din K baad aap Jo chahen ghay wo hone K liye asbab paida hona shuru ho jayen ghay . Es Ayat Mubarakah ka Wazifa K liye aap nay Har farz namaz K baad 300 bar Surah Yasin Ki Ayat 58 aur 10 bar Durood Pak Mohabbat se 7 Roz tak wird Karna Hai. In Shaaa Allah 7 Roz mein aap ko aap Ki Har Hajat hasil ho Jaye gi aur aap ko es ka clear ishara mil Jaye ga. Nazreen Surah Yasin Ki Ayat 58 ka khas Wazifa aur es Ki Barkat K liye jald he detail article aap K liye peesh kar Diya jaye ga. Behtar ye Hai K aap Wazifa shuru Karne se pehle Surah Yasin Ki Ayat 58 ko Pak siyahi se tehreer kar K apne pas zaroor rakhen. Taa K aap ko es Wazifa Ki Barkat tamam zindagi hasil hoti rahen .
Surah Yasin Ayat 82 Wazifa
Agar aap Ki Qismat mein mushkil likhi Hai aur wo mushkil aap Ki bay hadh khohish aur mehnat K bawajood asaan na ho rahi ho tu aap Surah Yaseen Ki Ayat 82 ka Wazifa 7 din tak kar lein. In Shaaa Allah aap Ki Har mushkil aap Ki Soch se bhe pehle asaan ho Jaye gi . Es Wazifa K liye aap nay Har farz namaz K baad 82 bar Surah Yasin Ki Ayat 82 aur 10 bar Durood Pak Mohabbat se parhna Hai aur es Wazifa ko 7 din tak Jari rakhna Hai. Behtar ye Hai K aap Wazifa shuru Karne se pehle Surah Yasin Ki Ayat 82 ko Pak siyahi se tehreer kar K apne pas zaroor rakhen ta K aap ko es Wazifa Ki Barkat tamam zindagi hasil hoti rahen.
Surah Yasin Ayat 83 Wazifa
Surah Yasin Ayat 83 rohani Barkat ka Khazana Hai. Agar aap Ki koi jaiz Hajat Hai tu aap Surah Yasin Ki Ayat 83 ka Wazifa sirf 7 din kar lein. Ye Wazifa aap Ki Jaan , Aulad , Ghar , karobar aur Izzat Ki behtreen rohani Hifazat Hai. Es K ilawa agar aap ko aap K dushman se kism kisam K nuqsan ka Dar Hai tu aap esi Ayat Mubarakah ka Wazifa Karen. In Shaaa Allah 7 din K baad aap K dushman aap se khoof khane lagy gay. Behtar ye Hai K aap Wazifa shuru Karne se pehle Surah Yasin Ki Ayat 83 ko Pak siyahi se tehreer kar K apne pas zaroor rakhen. Taa K aap ko es Wazifa Ki Barkat tamam zindagi hasil hoti rahen.
Surah Yaseen ki Fazilat
Surah Yasin Quran ka Dil Hai. Es Ki Fazilat ko koi bhe mukammal tor par biyan Nahi kar sakta. Duniya mein mujood tamam insaan , Jinnat , farishta , charind parind sab mil kar qayamat tak Surah Yasin Ki Fazilat biyan Karen tu bhe Surah Yasin Ki Kisi aik Ayat Mubarakah Ki Fazilat bhe mukammal biyan Nahi ho sake gi. Es article mein hum nay Surah Yasin K Wazifa K wo benefits aap ko bata diye Hain Jin ka hum aur hazaaro insaan mushahida kar chukay Hain.
Apne Khawab ki Tabeer Aur Pareshani Ka Hal Hasil Karne k liye Amna Behan Se Rabta Krain .
Amna Behan Whatsapp
+92 306 3441786